Perfect Health - Health Hazards &; Cure : Collection of Topical Essays for Competitive Exams

Bok
Pustak Nibandh Sangrah sabhi vargo ke chhatra-chhatraon evan anek pratiyogi pariksha sivil service ke ummidwaron ke liye taiyar ki gai hai. Nibandh Sangrah unke liye bhi ek aadarsh hai jinhe rachnatmak nibandh lekhan ki kala sikhne me vishesh ruche hai. In nibandh me varnatmak, vivranatmak, vicharatmak aur bhavnatmak nibandh shamil hai. Chhatron ki suwidha ke liye nibandh sangrah ko vishesh khando me bata gaya hai. Jisse yeh pustak bajar me upalabdh nibandh ki anya pustko kit ulna me alag hai. Is pustak me sabhi prakar ke nibandh diye gaye hai jinme - sahitya samaj, vidhyarthi jivan, jiban mulya, atmkatha, drishvaranan, sahitya, sandeshgarbhit, rajniti, gyan-vigyan, tyohar, trasadi aur mahan vyaktitav par adharit nibandh shamil hai. Sabhi nibandh adhuniktam jankari evam nai vichardharao se paripuran hai. Nibandh ki kala ke nirantar abhyas se lekhan me prepakvta aati hai. Isliye chhatraon ko salah hai ki ve nibandh padhkar iska avashay abhyas kare. Prastut pustak me is baat ka vishesh dhyan rakha gya hai ki nibandh ki bhasha shaili saral, sahaj evam bodhgmay ho. #v&spublishers